marifat ke liye aagahi ke liye
mā'rifat ke liye āgahī ke liye
nūr-e-haq chāhiye raushnī ke liye
jī rahe haiñ kisī kī ḳhushī ke liye
varna kyā hai yahāñ zindagī ke liye
aap apnā ta'āruf sar-e-anjuman
kitnā mushkil hai ik ajnabī ke liye
dasht-e-ġhurbat meñ kuchh aur mumkin nahīñ
jugnuoñ ke sivā raushnī ke liye
rakh diye ābshāroñ ne dil khol kar
dasht meñ ek pyāsī nadī ke liye
vaqt ke aage us ne bhī rakh dī sipar
jo thā mash.hūr apnī ḳhudī ke liye
'rahbar' e'zāz 'ohda qayādat anā
mas.ala ban ga.e aadmī ke liye
ma'rifat ke liye aagahi ke liye
nur-e-haq chahiye raushni ke liye
ji rahe hain kisi ki KHushi ke liye
warna kya hai yahan zindagi ke liye
aap apna ta'aruf sar-e-anjuman
kitna mushkil hai ek ajnabi ke liye
dasht-e-ghurbat mein kuchh aur mumkin nahin
jugnuon ke siwa raushni ke liye
rakh diye aabshaaron ne dil khol kar
dasht mein ek pyasi nadi ke liye
waqt ke aage us ne bhi rakh di sipar
jo tha mashhur apni KHudi ke liye
'rahbar' e'zaz 'ohda qayaadat ana
masala ban gae aadmi ke liye
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.