KHushi apni luTa kar hum ko pachhtana nahin aata
ḳhushī apnī luTā kar ham ko pachhtānā nahīñ aatā
koī ġham pesh kartā hai to Thukrānā nahīñ aatā
nahīñ hai muttafiq vo terī bātoñ se to ai vā'iz
samajh lenā yahī ki tujh ko samjhānā nahīñ aatā
charāġhoñ ko bujhā kar kah rahe haiñ ahl-e-mahfil ab
ki marne sham' par kyoñ koī parvāna nahīñ aatā
mohabbat ham bhī karte haiñ magar iz.hār kī ḳhātir
garebāñ phaaḌ kar galiyoñ meñ chillānā nahīñ aatā
hameñ sharm-o-hayā kā dars aise log dete haiñ
ki jin ko apnī laġhzish pe bhī sharmānā nahīñ aatā
rivāyat se nahīñ haiñ munharif hargiz magar ham ko
purānī baat ko har baar dohrānā nahīñ aatā
hamārī 'umr guzrī hai 'ziyā' maujoñ se Takrā ke
kahā kis ne hameñ tūfāñ se Takrānā nahīñ aatā
KHushi apni luTa kar hum ko pachhtana nahin aata
koi gham pesh karta hai to Thukrana nahin aata
nahin hai muttafiq wo teri baaton se to ai wa'iz
samajh lena yahi ki tujh ko samjhana nahin aata
charaghon ko bujha kar kah rahe hain ahl-e-mahfil ab
ki marne sham' par kyon koi parwana nahin aata
mohabbat hum bhi karte hain magar izhaar ki KHatir
gareban phaD kar galiyon mein chillana nahin aata
hamein sharm-o-haya ka dars aise log dete hain
ki jin ko apni laghzish pe bhi sharmana nahin aata
riwayat se nahin hain munharif hargiz magar hum ko
purani baat ko har bar dohrana nahin aata
hamari 'umr guzri hai 'ziya' maujon se Takra ke
kaha kis ne hamein tufan se Takrana nahin aata
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.