KHushi mein Dub kar wajh-e-KHushi ko bhul jata hun
ḳhushī meñ Duub kar vaj.h-e-ḳhushī ko bhuul jaatā huuñ
maiñ jis ke saath hotā huuñ usī ko bhuul jaatā huuñ
nahīñ aisā nahīñ ki zindagī pyārī nahīñ mujh ko
magar tum saath ho to zindagī ko bhuul jaatā huuñ
'ajab matlab-parastī hai ḳhudā bhī dekhtā hogā
usī se māñgtā huuñ aur usī ko bhuul jaatā huuñ
tumhāre saath guzre chand lamhoñ ke tavassul se
dayār-e-hijr meñ guzrī sadī ko bhuul jaatā huuñ
kanhaiyā huuñ maiñ kal-yug kā mirī liilā bhī nyārī hai
jahāñ rādhā mile maiñ rukmanī ko bhuul jaatā huuñ
KHushi mein Dub kar wajh-e-KHushi ko bhul jata hun
main jis ke sath hota hun usi ko bhul jata hun
nahin aisa nahin ki zindagi pyari nahin mujh ko
magar tum sath ho to zindagi ko bhul jata hun
'ajab matlab-parasti hai KHuda bhi dekhta hoga
usi se mangta hun aur usi ko bhul jata hun
tumhaare sath guzre chand lamhon ke tawassul se
dayar-e-hijr mein guzri sadi ko bhul jata hun
kanhaiya hun main kal-yug ka meri lila bhi nyari hai
jahan radha mile main rukmani ko bhul jata hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.