KHushi ye kam to nahin gham se rasm-o-rah to hai
ḳhushī ye kam to nahīñ ġham se rasm-o-rāh to hai
ḳhudā kā shukr koī merā ḳhair-ḳhvāh to hai
balā se saath na degī ye sham' saath na de
anīs-e-shām-e-judā.ī dil-e-tabāh to hai
hazār kaalī ghaTāoñ meñ chhup ga.e taare
mirī nazar meñ koī rashk-e-mehr-o-māh to hai
maiñ un ke sāmne jā.ūñ to kis tarah jā.ūñ
ki dil ko hosh nahīñ jur.at-e-nigāh to hai
vo haal dil kā na samjheñ ye un kī baat rahī
ab un ke sāmne hāl-e-dil-e-tabāh to hai
unheñ yaqīn na aa.e to kyā kare koī
mirī vafā kī mirī zindagī gavāh to hai
'aqīl' laakh nazāre mirī nazar ke liye
tasavvurāt meñ raushan vo jalva-gāh to hai
KHushi ye kam to nahin gham se rasm-o-rah to hai
KHuda ka shukr koi mera KHair-KHwah to hai
bala se sath na degi ye sham' sath na de
anis-e-sham-e-judai dil-e-tabah to hai
hazar kali ghaTaon mein chhup gae tare
meri nazar mein koi rashk-e-mehr-o-mah to hai
main un ke samne jaun to kis tarah jaun
ki dil ko hosh nahin jurat-e-nigah to hai
wo haal dil ka na samjhen ye un ki baat rahi
ab un ke samne haal-e-dil-e-tabah to hai
unhen yaqin na aae to kya kare koi
meri wafa ki meri zindagi gawah to hai
'aqil' lakh nazare meri nazar ke liye
tasawwuraat mein raushan wo jalwa-gah to hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.