KHushnuma dhun pe raqam dard ke naghmat sa tha
ḳhushnumā dhun pe raqam dard ke naġhmāt sā thā
vaqt-e-ruḳhsat bhī junūñ pahlī mulāqāt sā thā
jism ke dasht meñ raqsāñ the mahakte hue zaḳhm
kal shab-e-hijr kā aalam shab-e-bārāt sā thā
dil ke dariyā meñ thiraktā thā tirī yaad kā chāñd
shab ke hoñToñ pe tirā zikr munājāt sā thā
maiñ to ik umr faqat us ke ta.āqub meñ rahā
jo mirī zaat meñ maujūd tirī zaat sā thā
lams-e-āḳhir mire kashkol-e-badan kī ḳhātir
ek muflis ko mayassar huī ḳhairāt sā thā
maiñ tire shoḳh laboñ par to abhī aayā huuñ
is se pahle tirī āñkhoñ meñ savālāt sā thā
jagmagāte hue jugnū na ziyāñ hotā charāġh
raat meñ kuchh bhī na thā jis ko kaheñ raat sā thā
KHushnuma dhun pe raqam dard ke naghmat sa tha
waqt-e-ruKHsat bhi junun pahli mulaqat sa tha
jism ke dasht mein raqsan the mahakte hue zaKHm
kal shab-e-hijr ka aalam shab-e-baraat sa tha
dil ke dariya mein thirakta tha teri yaad ka chand
shab ke honTon pe tera zikr munajat sa tha
main to ek umr faqat us ke taaqub mein raha
jo meri zat mein maujud teri zat sa tha
lams-e-aKHir mere kashkol-e-badan ki KHatir
ek muflis ko mayassar hui KHairaat sa tha
main tere shoKH labon par to abhi aaya hun
is se pahle teri aankhon mein sawalat sa tha
jagmagate hue jugnu na ziyan hota charagh
raat mein kuchh bhi na tha jis ko kahen raat sa tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.