KHun majburon ka har gam bahane wale
ḳhuun majbūroñ kā har gaam bahāne vaale
kyā kaheñge tujhe āḳhir ye zamāne vaale
kāñpte hāthoñ se talvār uThāne vaale
tere ajdād the tārīḳh banāne vaale
kashtiyāñ ham ne jalā dī haiñ bharose pe tire
ab yahāñ se nahīñ ham lauT ke jaane vaale
zinda rahnā hai to phir ḳhud ko miTānā sīkho
ghuT ke marte haiñ sadā jaan bachāne vaale
raushnī un ke gharoñ meñ bhī na ho pā.egī
soch leñ ye bhī mire ghar ko jalāne vaale
koī kah de ye zarā vaqt ke shaitānoñ se
ḳhaak ho jaate haiñ sūraj ko bujhāne vaale
haath apne bhī gañvā baiTheñge ik din 'mājid'
sajda-gāhoñ ke taqaddus ko miTāne vaale
KHun majburon ka har gam bahane wale
kya kahenge tujhe aaKHir ye zamane wale
kanpte hathon se talwar uThane wale
tere ajdad the tariKH banane wale
kashtiyan hum ne jala di hain bharose pe tere
ab yahan se nahin hum lauT ke jaane wale
zinda rahna hai to phir KHud ko miTana sikho
ghuT ke marte hain sada jaan bachane wale
raushni un ke gharon mein bhi na ho paegi
soch len ye bhi mere ghar ko jalane wale
koi kah de ye zara waqt ke shaitanon se
KHak ho jate hain suraj ko bujhane wale
hath apne bhi ganwa baiThenge ek din 'majid'
sajda-gahon ke taqaddus ko miTane wale
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.