KHwab ban kar meri aankhon mein sama jata hai

KHwab ban kar meri aankhon mein sama jata hai
Asma Mohammad Shahid Khan
MORE BYAsma Mohammad Shahid Khan
ḳhvāb ban kar mirī āñkhoñ meñ samā jaatā hai
merī soī huī rātoñ ko jagā jaatā hai
jab bhī maiñ haath uThātī huuñ du'ā kī ḳhātir
vo ḳhudā ban ke mire sāmne aa jaatā hai
maiñ ne us ke liye duniyā se baġhāvat kī hai
vo mujhe chhoḌ ke har roz chalā jaatā hai
ab to hairān bhī hotī nahīñ āñkheñ merī
jo bhī aatā hai vo ā.īna dikhā jaatā hai
us ko mā'lūm nahīñ raat kā 'ālam 'asmā'
shaam hote hī mire ghar se chalā jaatā hai
KHwab ban kar meri aankhon mein sama jata hai
meri soi hui raaton ko jaga jata hai
jab bhi main hath uThati hun du'a ki KHatir
wo KHuda ban ke mere samne aa jata hai
main ne us ke liye duniya se baghawat ki hai
wo mujhe chhoD ke har roz chala jata hai
ab to hairan bhi hoti nahin aankhen meri
jo bhi aata hai wo aaina dikha jata hai
us ko ma'lum nahin raat ka 'alam 'asma'
sham hote hi mere ghar se chala jata hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.