KHwab in aankhon se ab koi chura kar le jae
ḳhvāb in āñkhoñ se ab koī churā kar le jaa.e
qabr ke sūkhe hue phuul uThā kar le jaa.e
muntazir phuul meñ ḳhushbū kī tarah huuñ kab se
koī jhoñke kī tarah aa.e uḌā kar le jaa.e
ye bhī paanī hai magar āñkhoñ kā aisā paanī
jo hathelī se rachī mehñdī chhuḌā kar le jaa.e
maiñ mohabbat se mahaktā huā ḳhat huuñ mujh ko
zindagī apnī kitāboñ meñ chhupā kar le jaa.e
ḳhaak insāf hai nā-bīnā butoñ ke aage
raat thālī meñ charāġhoñ ko sajā kar le jaa.e
un se kahnā ki maiñ paidal nahīñ aane vaalā
koī bādal mujhe kāñdhe pe biThā kar le jaa.e
KHwab in aankhon se ab koi chura kar le jae
qabr ke sukhe hue phul uTha kar le jae
muntazir phul mein KHushbu ki tarah hun kab se
koi jhonke ki tarah aae uDa kar le jae
ye bhi pani hai magar aankhon ka aisa pani
jo hatheli se rachi mehndi chhuDa kar le jae
main mohabbat se mahakta hua KHat hun mujh ko
zindagi apni kitabon mein chhupa kar le jae
KHak insaf hai na-bina buton ke aage
raat thaali mein charaghon ko saja kar le jae
un se kahna ki main paidal nahin aane wala
koi baadal mujhe kandhe pe biTha kar le jae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.