Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

KHwab ki haalaton ke sath teri hikayaton mein hain

Jaun Eliya

KHwab ki haalaton ke sath teri hikayaton mein hain

Jaun Eliya

MORE BYJaun Eliya

    ḳhvāb hālatoñ ke saath terī hikāyatoñ meñ haiñ

    ham bhī dayār-e-ahl-e-dil terī rivāyatoñ meñ haiñ

    vo jo the rishtā-hā-e-jāñ TuuT sake bhalā kahāñ

    jaan vo rishtā-hā-e-jāñ ab bhī shikāyatoñ meñ haiñ

    ek ġhubār hai ki hai dā.era-vār pur-fishāñ

    qāfilā-hā-e-kahkashāñ tañg haiñ vahshatoñ meñ haiñ

    vaqt darmiyāniyāñ kar ga.iiñ jāñ-kanī ko jaañ

    vo jo adāvateñ ki thiiñ aaj mohabbatoñ meñ haiñ

    partav-e-rañg hai ki hai diid meñ jāñ-nashīn-e-rañg

    rañg kahāñ haiñ rūnumā rañg to nik.hatoñ meñ haiñ

    hai ye vajūd numūd apnī nafas nafas gurez

    vaqt saarī bastiyāñ apnī hazīmatoñ meñ haiñ

    gard saarā ḳhānumāñ hai sar-e-dasht-e-be-amāñ

    shahr haiñ vo jo har tarah gard ḳhidmatoñ meñ haiñ

    vo dil o jaan sūrateñ jaise kabhī na thiiñ kahīñ

    ham unhīñ sūratoñ ke haiñ ham unhīñ sūratoñ meñ haiñ

    maiñ na sunūñgā mājrā ma.arka-hā-e-shauq

    ḳhuun ga.e haiñ rā.egāñ rañg nadāmatoñ meñ haiñ

    KHwab ki haalaton ke sath teri hikayaton mein hain

    hum bhi dayar-e-ahl-e-dil teri riwayaton mein hain

    wo jo the rishta-ha-e-jaan TuT sake bhala kahan

    jaan wo rishta-ha-e-jaan ab bhi shikayaton mein hain

    ek ghubar hai ki hai daera-war pur-fishan

    qafila-ha-e-kahkashan tang hain wahshaton mein hain

    waqt ki darmiyaniyan kar gain jaan-kani ko jaan

    wo jo adawaten ki thin aaj mohabbaton mein hain

    partaw-e-rang hai ki hai did mein jaan-nashin-e-rang

    rang kahan hain runuma rang to nikhaton mein hain

    hai ye wajud ki numud apni nafas nafas gurez

    waqt ki sari bastiyan apni hazimaton mein hain

    gard ka sara KHanuman hai sar-e-dasht-e-be-aman

    shahr hain wo jo har tarah gard ki KHidmaton mein hain

    wo dil o jaan suraten jaise kabhi na thin kahin

    hum unhin suraton ke hain hum unhin suraton mein hain

    main na sununga majra marka-ha-e-shauq ka

    KHun gae hain raegan rang nadamaton mein hain

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now