KHwab lipTe hain ajab dida-e-bedar ke sath
ḳhvāb lipTe haiñ 'ajab dīda-e-bedār ke saath
niiñd aatī hai mujhe sub.h ke āsār ke saath
thak ga.ī gardish-e-ayyām bhī chalte chalte
aur maiñ dauḌ rahā huuñ usī raftār ke saath
dil ko duniyā se 'ilāqa hai to bas itnā hai
jaise dīvār uThā de koī dīvār ke saath
lutf kuchh aur hī hai aise akele-pan kā
phir ke dekhā hai bahut shahr meñ do chaar ke saath
aur hoñge jo miyāñ dil se pareshāñ hoñge
maiñ ne to 'umr guzārī hai is āzār ke saath
aap is shahr kī tā'mīr bahut dekh chuke
ab zarā dekhiye tā'mīr ko me'mār ke saath
zindagī hai kisī 'ujlat meñ likhā afsāna
kaun insāf karegā mire kirdār ke saath
KHwab lipTe hain 'ajab dida-e-bedar ke sath
nind aati hai mujhe subh ke aasar ke sath
thak gai gardish-e-ayyam bhi chalte chalte
aur main dauD raha hun usi raftar ke sath
dil ko duniya se 'ilaqa hai to bas itna hai
jaise diwar uTha de koi diwar ke sath
lutf kuchh aur hi hai aise akele-pan ka
phir ke dekha hai bahut shahr mein do chaar ke sath
aur honge jo miyan dil se pareshan honge
main ne to 'umr guzari hai is aazar ke sath
aap is shahr ki ta'mir bahut dekh chuke
ab zara dekhiye ta'mir ko me'mar ke sath
zindagi hai kisi 'ujlat mein likha afsana
kaun insaf karega mere kirdar ke sath
- Book : Ek Shaam Tumhare Hisse Ki (Pg. 36)
- Author : Kashif Husain Ghair
- Publication : Rekhta Publications (2018)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.