Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

KHwab mein bhi meri zanjir-e-safar ka jagna

Irfan Siddiqi

KHwab mein bhi meri zanjir-e-safar ka jagna

Irfan Siddiqi

MORE BYIrfan Siddiqi

    ḳhvāb meñ bhī merī zanjīr-e-safar jāgnā

    aañkh kyā lagnā ki ik saudā-e-sar jāgnā

    agle din kyā hone vaalā thā ki ab tak yaad hai

    intizār-e-sub.h meñ vo saare ghar jāgnā

    bastiyoñ se shab-navardoñ chalā jaanā magar

    raat bhar ab bhī charāġh-e-rahguzar jāgnā

    āḳhirī ummīd mahtāb jal bujhne ke ba.ad

    merā so jaanā mire dīvār-o-dar jāgnā

    phir havāoñ se kisī imkān milnā naved

    phir lahū meñ ārzū-e-tāza-tar jāgnā

    ek din us lams ke asrār khulnā jism par

    ek shab is ḳhaak meñ barq-o-sharar jāgnā

    is harf-e-muḳhtasar bedāriyoñ silsila

    lafz meñ ma.anī kaa, ma.anī meñ asar jāgnā

    be-navā patte bhī āyāt-e-numū paḌhte hue

    tum ne dekhā hai kabhī shāḳh-e-shajar jāgnā

    yak-ba-yak har raushnī Duub jaanā aur phir

    āsmāñ par ik tilsm-e-sīm-o-zar jāgnā

    KHwab mein bhi meri zanjir-e-safar ka jagna

    aankh kya lagna ki ek sauda-e-sar ka jagna

    agle din kya hone wala tha ki ab tak yaad hai

    intizar-e-subh mein wo sare ghar ka jagna

    bastiyon se shab-nawardon ka chala jaana magar

    raat bhar ab bhi charagh-e-rahguzar ka jagna

    aaKHiri ummid ka mahtab jal bujhne ke baad

    mera so jaana mere diwar-o-dar ka jagna

    phir hawaon se kisi imkan ki milna nawed

    phir lahu mein aarzu-e-taza-tar ka jagna

    ek din us lams ke asrar khulna jism par

    ek shab is KHak mein barq-o-sharar ka jagna

    is ka harf-e-muKHtasar bedariyon ka silsila

    lafz mein mani ka, mani mein asar ka jagna

    be-nawa patte bhi aayat-e-numu paDhte hue

    tum ne dekha hai kabhi shaKH-e-shajar ka jagna

    yak-ba-yak har raushni ka Dub jaana aur phir

    aasman par ek tilsm-e-sim-o-zar ka jagna

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now