KHwab se dosti ajib si hai
ḳhvāb se dostī 'ajīb sī hai
niiñd kī zindagī 'ajīb sī hai
kaun is rāste se guzrā hai
duur tak raushnī 'ajīb sī hai
tujh ko sochūñ to TuuT jaatā huuñ
mujh meñ ye nāzukī 'ajīb sī hai
mujh ko ḳhud pe yaqīñ nahīñ aatā
mujh meñ koī kamī 'ajīb sī hai
mujh ko kuchh sūjhtā nahīñ hai abhī
merī hālat baḌī 'ajīb sī hai
do ghaḌī baiThne nahīñ detī
merī āvārgī 'ajīb sī hai
aaj kal jī kahīñ nahīñ lagtā
aaj kal zindagī 'ajīb sī hai
KHwab se dosti 'ajib si hai
nind ki zindagi 'ajib si hai
kaun is raste se guzra hai
dur tak raushni 'ajib si hai
tujh ko sochun to TuT jata hun
mujh mein ye nazuki 'ajib si hai
mujh ko KHud pe yaqin nahin aata
mujh mein koi kami 'ajib si hai
mujh ko kuchh sujhta nahin hai abhi
meri haalat baDi 'ajib si hai
do ghaDi baiThne nahin deti
meri aawargi 'ajib si hai
aaj kal ji kahin nahin lagta
aaj kal zindagi 'ajib si hai
- Book : Dhoop Mein Baithne Ke Din Aaye (Pg. 71)
- Author : Sunil Aftab
- Publication : Rekhta Publications (2024)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.