KHwah shaur subh-o-sham gharq gilas mein raho
ḳhvāh 'sha'ūr' sub.h-o-shām ġharq gilās meñ raho
apnī hudūd meñ raho apne havās meñ raho
jo bhī milā huā hai vo kam nahīñ ittifāq se
kyoñ kisī bhūkh meñ raho kyoñ kisī pyaas meñ raho
ham ne tumheñ ḳhayāl meñ dekh liyā bilā jhijhak
aur naqāb meñ raho aur libās meñ raho
rāsta dekhte raho chaap sunā.ī de na de
sub.h qarīb ho na ho sub.h kī aas meñ raho
aaj ke sab qayās haiñ kal kī haqīqateñ 'sha'ūr'
ahl-e-nigāh meñ raho ahl-e-qayās meñ raho
KHwah 'sha'ur' subh-o-sham gharq gilas mein raho
apni hudud mein raho apne hawas mein raho
jo bhi mila hua hai wo kam nahin ittifaq se
kyon kisi bhukh mein raho kyon kisi pyas mein raho
hum ne tumhein KHayal mein dekh liya bila jhijhak
aur naqab mein raho aur libas mein raho
rasta dekhte raho chap sunai de na de
subh qarib ho na ho subh ki aas mein raho
aaj ke sab qayas hain kal ki haqiqaten 'sha'ur'
ahl-e-nigah mein raho ahl-e-qayas mein raho
- Book : Ab Main Aksar Main Nahi Rehta (Pg. 81)
- Author : Anwar Shaoor
- Publication : Rekhta Publications (2024)
- Edition : 3rd
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.