KHwahish-e-parwaz hai to baal-o-par bhi chahiye

Bharat Bhushan Pant

KHwahish-e-parwaz hai to baal-o-par bhi chahiye

Bharat Bhushan Pant

MORE BY Bharat Bhushan Pant

  ḳhvāhish-e-parvāz hai to bāl-o-par bhī chāhiye

  maiñ musāfir huuñ mujhe raḳht-e-safar bhī chāhiye

  is qadar bhī rañj ḳhūgar nahīñ huuñ maiñ abhī

  rāste meñ dhuup ho to ik shajar bhī chāhiye

  yuuñ mukammal ho nahīñ saktā koī bhī aks ho

  aa.ina bhī chāhiye zauq-e-nazar bhī chāhiye

  sirf sāñsoñ tasalsul nahīñ hai zindagī

  apne hone hameñ koī ḳhabar bhī chāhiye

  dostoñ is adā par ho gayā qurbān maiñ

  merī pagḌī le chuke ab merā sar bhī chāhiye

  mutma.in sahrā meñ aa ke bhī nahīñ tanhā.iyāñ

  shaam hote inheñ dīvār-o-dar bhī chāhiye

  KHwahish-e-parwaz hai to baal-o-par bhi chahiye

  main musafir hun mujhe raKHt-e-safar bhi chahiye

  is qadar bhi ranj ka KHugar nahin hun main abhi

  raste mein dhup ho to ek shajar bhi chahiye

  yun mukammal ho nahin sakta koi bhi aks ho

  aaina bhi chahiye zauq-e-nazar bhi chahiye

  sirf sanson ka tasalsul hi nahin hai zindagi

  apne hone ki hamein koi KHabar bhi chahiye

  doston ki is ada par ho gaya qurban main

  meri pagDi le chuke ab mera sar bhi chahiye

  mutmain sahra mein aa ke bhi nahin tanhaiyan

  sham hote hi inhen diwar-o-dar bhi chahiye

  0
  COMMENTS
  VIEW COMMENTS

  Additional information available

  Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

  OKAY

  About this sher

  Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

  Close

  rare Unpublished content

  This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

  OKAY