kis ka KHayal zehn ki gahraiyon mein hai
kis kā ḳhayāl zehn kī gahrā.iyoñ meñ hai
ik raushnī sī dasht kī pinhā.iyoñ meñ hai
jaltā diyā añdhere kī añgnā.iyoñ meñ hai
terā ḳhayāl bhī mirī tanhā.iyoñ meñ hai
kuchh to haiñ dil ke daaġh ujālā liye hue
kuchh rang zulf-e-shām kī rā'nā.iyoñ meñ hai
sangīt ko milā na ġhazal ko na giit ko
vo karb jo sukūt kī shahnā.iyoñ meñ hai
ye kaun thā jo mujh se ye kah kar guzar gayā
kaisā ye shor shaam se sahrā.iyoñ meñ hai
ik raushnī sī phail rahī hai sar-e-'sirāj'
kaisā kamāl ye tirī añgḌā.iyoñ meñ hai
kis ka KHayal zehn ki gahraiyon mein hai
ek raushni si dasht ki pinhaiyon mein hai
jalta diya andhere ki angnaiyon mein hai
tera KHayal bhi meri tanhaiyon mein hai
kuchh to hain dil ke dagh ujala liye hue
kuchh rang zulf-e-sham ki ra'naiyon mein hai
sangit ko mila na ghazal ko na git ko
wo karb jo sukut ki shahnaiyon mein hai
ye kaun tha jo mujh se ye kah kar guzar gaya
kaisa ye shor sham se sahraiyon mein hai
ek raushni si phail rahi hai sar-e-'siraj'
kaisa kamal ye teri angDaiyon mein hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.