kis ki aankh mein dekhen kaun hum ko pahchane
kis kī aañkh meñ dekheñ kaun ham ko pahchāne
shahr to purānā hai log par haiñ anjāne
apnī jholī meñ le kar tere dar pe baiThe haiñ
'umr bhar kamāyā jo sab haiñ tere nazrāne
kyā tumheñ batā.eñ ab kis jahāñ se guzreñ haiñ
kho ga.e ḳhudā saare TuuTe haiñ parī-ḳhāne
kāġhazī hukūmat hai 'ājizī rivāyat hai
sar-ba-sar ġharībī haiñ aur sulagte kāshāne
manziloñ kī socheñ kyā rāstoñ meñ uljhe haiñ
jā-ba-jā udāsī hai kū-ba-kū haiñ afsāne
vahshatoñ kī garmī meñ dard ham ko saayā hai
riit ham se bantī hai ġham hamāre paimāne
ek to tirī ḳhushbū pairahan se lipTe haiñ
āñkheñ phir haiñ mai-ḳhāne zulfeñ jaise ḳhas-ḳhāne
zauq sab ke shāhī haiñ shauq sab ke ūñche haiñ
ye 'aves' sayyad haiñ ye haiñ is ke yārāne
kis ki aankh mein dekhen kaun hum ko pahchane
shahr to purana hai log par hain anjaane
apni jholi mein le kar tere dar pe baiThe hain
'umr bhar kamaya jo sab hain tere nazrane
kya tumhein bataen ab kis jahan se guzren hain
kho gae KHuda sare TuTe hain pari-KHane
kaghazi hukumat hai 'ajizi riwayat hai
sar-ba-sar gharibi hain aur sulagte kashane
manzilon ki sochen kya raston mein uljhe hain
ja-ba-ja udasi hai ku-ba-ku hain afsane
wahshaton ki garmi mein dard hum ko saya hai
rit hum se banti hai gham hamare paimane
ek to teri KHushbu pairahan se lipTe hain
aankhen phir hain mai-KHane zulfen jaise KHas-KHane
zauq sab ke shahi hain shauq sab ke unche hain
ye 'awes' sayyad hain ye hain is ke yarane
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.