Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

kis ko batate kis se chhupate suragh-e-dil

Sabeela Inam Siddiqui

kis ko batate kis se chhupate suragh-e-dil

Sabeela Inam Siddiqui

MORE BYSabeela Inam Siddiqui

    kis ko batāte kis se chhupāte surāġh-e-dil

    chup saadh hai zaḳhm dikhāyā na dāġh-e-dil

    kaise kareñ bayān ġham-e-jāñ dāstāñ

    ai kaash gul khilā.e hamārā ye bāġh-e-dil

    guzre hamārī ziist ke ayyām is tarah

    labrez āñsuoñ se hai goyā ayāġh-e-dil

    jab raakh ban ga.e to kahā ye harīf ne

    jal jal ke vo jalāte rahe haiñ charāġh-e-dil

    jis se mile tavīl zamāna guzar gayā

    shāyad usī ke zehn meñ ho kuchh surāġh-e-dil

    chāhat ab to koī bhī hasrat nahīñ rahī

    sarsabz us yaad se phir bhī hai bāġh-e-dil

    rakhtī nahīñ 'sabīla' kabhī aib par nazar

    masrūf pyaar meñ rahā is farāġh-e-dil

    kis ko batate kis se chhupate suragh-e-dil

    chup sadh li hai zaKHm dikhaya na dagh-e-dil

    kaise karen bayan gham-e-jaan ki dastan

    ai kash gul khilae hamara ye bagh-e-dil

    guzre hamari zist ke ayyam is tarah

    labrez aansuon se hai goya ayagh-e-dil

    jab rakh ban gae to kaha ye harif ne

    jal jal ke wo jalate rahe hain charagh-e-dil

    jis se mile tawil zamana guzar gaya

    shayad usi ke zehn mein ho kuchh suragh-e-dil

    chahat ki ab to koi bhi hasrat nahin rahi

    sarsabz us ki yaad se phir bhi hai bagh-e-dil

    rakhti nahin 'sabila' kabhi aib par nazar

    masruf pyar mein raha is ka faragh-e-dil

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now