Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

kis liye phirte hain ye shams o qamar donon sath

Nazm Tabatabai

kis liye phirte hain ye shams o qamar donon sath

Nazm Tabatabai

MORE BYNazm Tabatabai

    kis liye phirte haiñ ye shams o qamar donoñ saath

    kis ko ye DhūñDte haiñ barhana-sar donoñ saath

    kaisī yā-rab ye havā sub.h-e-shab-e-vasl chalī

    bujh gayā dil mirā aur sham-e-sahar donoñ saath

    ba.ad mere na rahā ishq manzil nishāñ

    miT ga.e rāh-rau o rāhguzar donoñ saath

    ai junūñ dekh isī sahrā meñ akelā huuñ maiñ

    rahte jis dasht meñ haiñ ḳhauf-o-ḳhatar donoñ saath

    mujh ko hairat hai shab-e-aish kotāhī par

    ḳhudā aa.e the kyā shām-o-sahar donoñ saath

    us ne pherī nigah-e-nāz ye ma.alūm huā

    khiñch gayā siine se tiir aur jigar donoñ saath

    ġham ko dil ne jagah dil ko jagah pahlū ne

    ek goshe meñ kareñge ye basar donoñ saath

    is ko rokūñ maiñ ilāhī ki sambhālūñ us ko

    ki taḌapne lage dil aur jigar donoñ saath

    naaz baḌhtā gayā baḌhte ga.e juuñ juuñ gesū

    balki lene lage ab zulf o kamar donoñ saath

    tujh se matlab hai nahīñ duniyā o uqbā se ġharaz

    nahīñ jab to ujaḌ jaa.eñ ye ghar donoñ saath

    baat sunñā na kisī chāhne vaale kabhī

    kaan meñ phūñk rahe haiñ ye guhar donoñ saath

    āñdhiyāñ aah bhī ashk sailāb bhī hai

    dete haiñ dil ḳharābī ḳhabar donoñ saath

    kyā kahūñ zohra o ḳhurshīd aalam ai 'nazm'

    nikle ḳhalvat se jūñhī vaqt-e-sahar donoñ saath

    kis liye phirte hain ye shams o qamar donon sath

    kis ko ye DhunDte hain barhana-sar donon sath

    kaisi ya-rab ye hawa subh-e-shab-e-wasl chali

    bujh gaya dil mera aur sham-e-sahar donon sath

    baad mere na raha ishq ki manzil ka nishan

    miT gae rah-rau o rahguzar donon sath

    ai junun dekh isi sahra mein akela hun main

    rahte jis dasht mein hain KHauf-o-KHatar donon sath

    mujh ko hairat hai shab-e-aish ki kotahi par

    ya KHuda aae the kya sham-o-sahar donon sath

    us ne pheri nigah-e-naz ye malum hua

    khinch gaya sine se tir aur jigar donon sath

    gham ko di dil ne jagah dil ko jagah pahlu ne

    ek goshe mein karenge ye basar donon sath

    is ko rokun main ilahi ki sambhaalun us ko

    ki taDapne lage dil aur jigar donon sath

    naz baDhta gaya baDhte gae jun jun gesu

    balki lene lage ab zulf o kamar donon sath

    tujh se matlab hai nahin duniya o uqba se gharaz

    tu nahin jab to ujaD jaen ye ghar donon sath

    baat sunna na kisi chahne wale ki kabhi

    kan mein phunk rahe hain ye guhar donon sath

    aandhiyan aah ki bhi ashk ka sailab bhi hai

    dete hain dil ki KHarabi ki KHabar donon sath

    kya kahun zohra o KHurshid ka aalam ai 'nazm'

    nikle KHalwat se junhi waqt-e-sahar donon sath

    Source:

    Deewan-e-Tabatabai (Rekhta Website) (Pg. 184)

    • Author: Nazm Tabatabai
      • Edition: 1933
      • Publisher: Maktaba Ibrahimiya, Hyderabad
      • Year of Publication: 1933
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now