kis liye safha dikhate ho hamein aKHbar ka
kis liye saf.ha dikhāte ho hameñ aḳhbār kā
shahr saarā āshnā hai aap ke kirdār kā
āḳhirī message meñ us ne bebasī se ye likhā
beTiyāñ to rakhtī aa.iiñ haiñ bharam dastār kā
haa.e ye āñkheñ thakan se chuur dekho to sahī
tum masīhā ho samajhte ho nā dukh bīmār kā
kab hunar sīkhoge tum chehre ko paḌhne kā miyāñ
har jagah matlab nahīñ hotā nahīñ inkār kā
haath pakḌo tum mirā chalte haiñ lambī walk par
rang uḌtā hai to uḌ jaa.e bhale do chaar kā
kis liye safha dikhate ho hamein aKHbar ka
shahr sara aashna hai aap ke kirdar ka
aaKHiri message mein us ne bebasi se ye likha
beTiyan to rakhti aain hain bharam dastar ka
hae ye aankhen thakan se chur dekho to sahi
tum masiha ho samajhte ho na dukh bimar ka
kab hunar sikhoge tum chehre ko paDhne ka miyan
har jagah matlab nahin hota nahin inkar ka
hath pakDo tum mera chalte hain lambi walk par
rang uDta hai to uD jae bhale do chaar ka
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.