kis ne bola tha use KHud ko wo diwana kare
kis ne bolā thā use ḳhud ko vo dīvāna kare
dil se kah do ki ab aage se kuchh aisā na kare
aaj kā din hai ki chehra koī utrā utrā
aisā din tujh pe bhī aa.e kabhī allah na kare
farz-e-'ushshāq hai kūche se guzar kar jaanā
us kī marzī vo darīche ko kare vā na kare
jo kisī rind ko sanjīda kare kaun hai vo
vo hī hogā jo mujh aisoñ ko bhī mastāna kare
vo na chāhe kabhī bīmār nahīñ paḌtā maiñ
maiñ na chāhūñ to masīhā mujhe achchhā na kare
kis ne bola tha use KHud ko wo diwana kare
dil se kah do ki ab aage se kuchh aisa na kare
aaj ka din hai ki chehra koi utra utra
aisa din tujh pe bhi aae kabhi allah na kare
farz-e-'ushshaq hai kuche se guzar kar jaana
us ki marzi wo dariche ko kare wa na kare
jo kisi rind ko sanjida kare kaun hai wo
wo hi hoga jo mujh aison ko bhi mastana kare
wo na chahe kabhi bimar nahin paDta main
main na chahun to masiha mujhe achchha na kare
- Book : Udaas Logon Ka Hona Bahut Zaruri Hai (Pg. 103)
- Author : Tarkash Pradeep
- Publication : Rekhta Publications (2023)
- Edition : 2nd
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.