kis ne hamare shahr pe mari hai raushni
kis ne hamāre shahr pe maarī hai raushnī
har ik makāñ ke zaḳhm se jaarī hai raushnī
bach-bach ke chal rahā huuñ sitāroñ kī chaal se
ab tak mire havās pe taarī hai raushnī
dil ko mohabbatoñ se kiyā tū ne mālā-māl
ḳhush-bāsh tīrgī meñ utārī hai raushnī
ik raat har charāġh kī lau kaaT dī ga.ī
aur vo bhī chup rahe jinheñ pyārī hai raushnī
lazzat ko ek had pe Thaharne nahīñ diyā
tum ne badan ke paar guzārī hai raushnī
sāyoñ se Dar ke chīḳh paḌe the yahī to haiñ
in ko bhī zo'm hai ki hamārī hai raushnī
kis ne hamare shahr pe mari hai raushni
har ek makan ke zaKHm se jari hai raushni
bach-bach ke chal raha hun sitaron ki chaal se
ab tak mere hawas pe tari hai raushni
dil ko mohabbaton se kiya tu ne mala-mal
KHush-bash tirgi mein utari hai raushni
ek raat har charagh ki lau kaT di gai
aur wo bhi chup rahe jinhen pyari hai raushni
lazzat ko ek had pe Thaharne nahin diya
tum ne badan ke par guzari hai raushni
sayon se Dar ke chiKH paDe the yahi to hain
in ko bhi zo'm hai ki hamari hai raushni
- Book : Aakhiri Ishq Sabse Pahle Kiya (Pg. 60)
- Author : Nomaan Shauque
- Publication : Rekhta Publications (2018)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.