Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

kis ne wahshi ko sikhaya ki tu aisa karna

Syed Shafaq Shah Chishti

kis ne wahshi ko sikhaya ki tu aisa karna

Syed Shafaq Shah Chishti

MORE BYSyed Shafaq Shah Chishti

    kis ne vahshī ko sikhāyā ki aisā karnā

    kuchh na kuchh ḳhaak pe likh likh ke miTāyā karnā

    vo mirā kūcha-e-jānāñ meñ saverā karnā

    raat bhar us darāroñ se vo jhāñkā karnā

    ye kahāñ ke mujhe chhoḌ gayā josh-e-junūn

    aap aap ḳhud apne ko pukārā karnā

    ham to bas ek ko sajda kiyā karte haiñ

    kaun kis kis pujārī hai hameñ kyā karnā

    kyoñ na raushan hoñ tirī yaad se zaḳhmoñ ke charāġh

    kaam sham.a hai ghar meñ ujālā karnā

    ek din aane aur ek hai din jaane

    isī do roz mohlat meñ hai kyā kyā karnā

    bol kis dil se bhulā.ūñ jo bhulā.ūñ bhī tujhe

    terā chhup-chhup ke vo aksar mujhe dekhā karnā

    masīhā hai shifā detā hai sab ko

    hai ye da.avā to mire zaḳhm ko achchhā karnā

    us ke jalvoñ meñ the kho.e hue aise ki 'shafaq'

    bhuul to ga.e ham arz-e-tamannā karnā

    kis ne wahshi ko sikhaya ki tu aisa karna

    kuchh na kuchh KHak pe likh likh ke miTaya karna

    wo mera kucha-e-jaanan mein sawera karna

    raat bhar us ka dararon se wo jhanka karna

    ye kahan la ke mujhe chhoD gaya josh-e-junun

    aap hi aap KHud apne ko pukara karna

    hum to bas ek ko hi sajda kiya karte hain

    kaun kis kis ka pujari hai hamein kya karna

    kyon na raushan hon teri yaad se zaKHmon ke charagh

    kaam hi shama ka hai ghar mein ujala karna

    ek din aane ka aur ek hai din jaane ka

    isi do roz ki mohlat mein hai kya kya karna

    bol kis dil se bhulaun jo bhulaun bhi tujhe

    tera chhup-chhup ke wo aksar mujhe dekha karna

    tu masiha hai shifa deta hai tu hi sab ko

    hai ye dawa to mere zaKHm ko achchha karna

    us ke jalwon mein the khoe hue aise ki 'shafaq'

    bhul hi to gae hum arz-e-tamanna karna

    Source:

    Rang-e-Shafaq (Pg. 104)

    • Author: Syed Shafaq Shah Chishti
      • Publisher: Daira-e-Adabiya, Lucknow
      • Year of Publication: 2009
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now