kisi aaine pe main phir nazar nahin kar saka
kisī aa.ine pe maiñ phir nazar nahīñ kar sakā
tire baa'd koī bhī 'ishq asar nahīñ kar sakā
use ḳhaak par se guzarnā kitnā muhāl thā
tire ḳhvāb par jo guzar-basar nahīñ kar sakā
maiñ palaT ke aayā to baaġh ḳhālī milā mujhe
mirā intizār koī shajar nahīñ kar sakā
shab-e-hijr jaisī ravāñ thī vaisī ravāñ rahī
maiñ koī bhī lahr idhar udhar nahīñ kar sakā
koī tum se duur bhī thā tumhāre huzūr bhī
magar is tarah ki tumheñ ḳhabar nahīñ kar sakā
'ajab intishār-e-suḳhan meñ thā tire rū-barū
so maiñ apnī baat ko muḳhtasar nahīñ kar sakā
mujhe phir bhī dil ke hī qāfile meñ ginā gayā
maiñ agarche dil kī tarah safar nahīñ kar sakā
kisi aaine pe main phir nazar nahin kar saka
tere ba'd koi bhi 'ishq asar nahin kar saka
use KHak par se guzarna kitna muhaal tha
tere KHwab par jo guzar-basar nahin kar saka
main palaT ke aaya to bagh KHali mila mujhe
mera intizar koi shajar nahin kar saka
shab-e-hijr jaisi rawan thi waisi rawan rahi
main koi bhi lahr idhar udhar nahin kar saka
koi tum se dur bhi tha tumhaare huzur bhi
magar is tarah ki tumhein KHabar nahin kar saka
'ajab intishaar-e-suKHan mein tha tere ru-baru
so main apni baat ko muKHtasar nahin kar saka
mujhe phir bhi dil ke hi qafile mein gina gaya
main agarche dil ki tarah safar nahin kar saka
- Book : Shaam Ke Baad Kuch Nahin (Pg. 51)
- Author :Shaheen Abbas
- Publication : Rekhta Publications (2018)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.