kisī apne se hotī hai na begāne se hotī hai
jo ulfat ek dīvāne ko dīvāne se hotī hai
subū se jaam se miinā se paimāne se hotī hai
mohabbat mai se ho kar saare mai-ḳhāne se hotī hai
koī qissa ho koī vāqi'a koī hikāyat ho
tasallī dil ko dard-e-dil ke afsāne se hotī hai
mirī tauba se kah do vo bhī aa kar shauq se sun le
'ajab āvāz paidā dil ke paimāne se hotī hai
nazar se chhupne vaale dil se āḳhir kyuuñ nahīñ chhupte
ye kaisī be-hijābī ā.ina-ḳhāne se hotī hai
bahār-e-chañd-roza se koī māñge to kyā māñge
ḳhizāñ ko bhī nadāmat haath phailāne se hotī hai
ghaTā.eñ ġham kī chhaT jaatī haiñ un ke muskurāne se
ki jaise sub.h paidā raat Dhal jaane se hotī hai
'figār' ehsās-e-dil meñ har taraf kāñTe hī kāñTe haiñ
yahī taskīn gulshan meñ bahār aane se hotī hai
kisi apne se hoti hai na begane se hoti hai
jo ulfat ek diwane ko diwane se hoti hai
subu se jam se mina se paimane se hoti hai
mohabbat mai se ho kar sare mai-KHane se hoti hai
koi qissa ho koi waqi'a koi hikayat ho
tasalli dil ko dard-e-dil ke afsane se hoti hai
meri tauba se kah do wo bhi aa kar shauq se sun le
'ajab aawaz paida dil ke paimane se hoti hai
nazar se chhupne wale dil se aaKHir kyun nahin chhupte
ye kaisi be-hijabi aaina-KHane se hoti hai
bahaar-e-chand-roza se koi mange to kya mange
KHizan ko bhi nadamat hath phailane se hoti hai
ghaTaen gham ki chhaT jati hain un ke muskurane se
ki jaise subh paida raat Dhal jaane se hoti hai
'figar' ehsas-e-dil mein har taraf kanTe hi kanTe hain
yahi taskin gulshan mein bahaar aane se hoti hai
Source :
- Book : Harf-o-nava (Pg. 48)
- Author : umesh bahadur sirivasto figaar unnavi
-
Publication : Figaar Unnavi
(2001)
- Edition : 2001
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.