kisi bhi ghair ko sochen to nind jati hai
kisi bhi ghair ko sochen to nind jati hai
Dheerendra Singh Faiyaz
MORE BYDheerendra Singh Faiyaz
kisī bhī ġhair ko socheñ to niiñd jaatī hai
tujhe bhī sochne baiTheñ to niiñd jaatī hai
tire ḳhayāl se nikleñ to aañkh khul jaa.e
tire ḳhayāl meñ Dūbeñ to niiñd jaatī hai
hamārī āñkhoñ meñ khone kā Dar hai yuuñ qābiz
kisī kā ḳhvāb bhī dekheñ to niiñd jaatī hai
ham us kī yaad meñ ik 'umr se nahīñ so.e
aur us ko bhūlnā chāheñ to niiñd jaatī hai
'ajīb haal hai tanhā badan bhī hai be-chain
kisī ko dost banā.eñ to niiñd jaatī hai
ki rotī āñkheñ ba-har-hāl so nahīñ saktīñ
aur in ko rone se rokeñ to niiñd jaatī hai
ham us ke paas raheñ to bhī niiñd aatī nahīñ
ham us se duur bhī jaa.eñ to niiñd jaatī hai
tumhāre zikr se parhez is liye hai hameñ
tumhārā naam bhī sun leñ to niiñd jaatī hai
kisi bhi ghair ko sochen to nind jati hai
tujhe bhi sochne baiThen to nind jati hai
tere KHayal se niklen to aankh khul jae
tere KHayal mein Duben to nind jati hai
hamari aankhon mein khone ka Dar hai yun qabiz
kisi ka KHwab bhi dekhen to nind jati hai
hum us ki yaad mein ek 'umr se nahin soe
aur us ko bhulna chahen to nind jati hai
'ajib haal hai tanha badan bhi hai be-chain
kisi ko dost banaen to nind jati hai
ki roti aankhen ba-har-haal so nahin saktin
aur in ko rone se roken to nind jati hai
hum us ke pas rahen to bhi nind aati nahin
hum us se dur bhi jaen to nind jati hai
tumhaare zikr se parhez is liye hai hamein
tumhaara nam bhi sun len to nind jati hai
- Book : Khaamushi Raasta Nikaalegi (Pg. 29)
- Author : Dheerendra Singh Faiyaz
- Publication : Rekhta Publications (2023)
- Edition : 3rd
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.