Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

kisi ehsas mein pahli si ab shiddat nahin hoti

Azra Naqvi

kisi ehsas mein pahli si ab shiddat nahin hoti

Azra Naqvi

MORE BYAzra Naqvi

    kisī ehsās meñ pahlī ab shiddat nahīñ hotī

    ki ab to dil ke sannāTe se bhī vahshat nahīñ hotī

    zamāne-bhar ke ġham apnā liye haiñ ḳhud-farebī meñ

    ḳhud apne ġham se milne hameñ fursat nahīñ hotī

    guzar jaatī hai saarī zindagī jin ke ta.āqub meñ

    bagūle haiñ kisī bhī ḳhvāb sūrat nahīñ hotī

    qasam khaa.ī hai ham ne bārhā ḳhāmosh rahne

    magar ghuT-ghuT ke rahne abhī aadat nahīñ hotī

    use maiñ āgahī faiz samjhūñ sazā samjhūñ

    hameñ duniyā nairañgī pe ab hairat nahīñ hotī

    jahāñ par makr-o-fan ādāb-e-mahfil ban ke chhāyā ho

    hameñ aisī kisī mahfil se kuchh nisbat nahīñ hotī

    hazāroñ an-kahī bāteñ jinheñ likhne ko chāhe

    kabhī himmat nahīñ hotī kabhī fursat nahīñ hotī

    kisi ehsas mein pahli si ab shiddat nahin hoti

    ki ab to dil ke sannaTe se bhi wahshat nahin hoti

    zamane-bhar ke gham apna liye hain KHud-farebi mein

    KHud apne gham se milne ki hamein fursat nahin hoti

    guzar jati hai sari zindagi jin ke taaqub mein

    bagule hain kisi bhi KHwab ki surat nahin hoti

    qasam khai hai hum ne barha KHamosh rahne ki

    magar ghuT-ghuT ke rahne ki abhi aadat nahin hoti

    use main aagahi ka faiz samjhun ya saza samjhun

    hamein duniya ki nairangi pe ab hairat nahin hoti

    jahan par makr-o-fan aadab-e-mahfil ban ke chhaya ho

    hamein aisi kisi mahfil se kuchh nisbat nahin hoti

    hazaron an-kahi baaten jinhen likhne ko ji chahe

    kabhi himmat nahin hoti kabhi fursat nahin hoti

    Source:

    Dil ke Mausam (Poetry) (Pg. 133)

    • Author: Azra Naqvi
      • Edition: 2012
      • Publisher: Takhleeqar Publishers, Laxmi Nagar, Delhi-92
      • Year of Publication: 2012
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now