kisi gharib ki barson ki aarzu ho jaun

Munawwar Rana

kisi gharib ki barson ki aarzu ho jaun

Munawwar Rana

MORE BYMunawwar Rana

  kisī ġharīb barsoñ aarzū ho jā.ūñ

  maiñ is surañg se niklūñ āb-jū ho jā.ūñ

  baḌā hasīn taqaddus hai us ke chehre par

  maiñ us āñkhoñ meñ jhāñkūñ to bā-vazū ho jā.ūñ

  mujhe pata to chale mujh meñ aib haiñ kyā kyā

  vo aa.ina hai to maiñ us ke rū-ba-rū ho jā.ūñ

  kisī tarah bhī ye vīrāniyāñ hoñ ḳhatm mirī

  sharāb-ḳhāne ke andar hāv-hū jā.ūñ

  mirī hathelī pe hoñToñ se aisī mohr lagā

  ki umr-bhar ke liye maiñ bhī surḳh-rū ho jā.ūñ

  kamī zarā bhī mujh meñ na koī rah jaa.e

  agar maiñ zaḳhm sūrat huuñ to rafū ho jā.ūñ

  na.e mizāj ke shahroñ meñ nahīñ lagtā

  purāne vaqtoñ phir se maiñ lucknow ho jā.ūñ

  kisi gharib ki barson ki aarzu ho jaun

  main is surang se niklun tu aab-ju ho jaun

  baDa hasin taqaddus hai us ke chehre par

  main us ki aankhon mein jhankun to ba-wazu ho jaun

  mujhe pata to chale mujh mein aib hain kya kya

  wo aaina hai to main us ke ru-ba-ru ho jaun

  kisi tarah bhi ye viraniyan hon KHatm meri

  sharab-KHane ke andar ki haw-hu jaun

  meri hatheli pe honTon se aisi mohr laga

  ki umr-bhar ke liye main bhi surKH-ru ho jaun

  kami zara si bhi mujh mein na koi rah jae

  agar main zaKHm ki surat hun to rafu ho jaun

  nae mizaj ke shahron mein ji nahin lagta

  purane waqton ka phir se main lucknow ho jaun

  Source :
  • Book : Shahdaba (Pg. 22)
  • Author : Munavar Rana
  • Publication : Maktaba Al-faheem (2012)
  • Edition : 2012
  0
  COMMENTS
  VIEW COMMENTS

  Additional information available

  Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

  OKAY

  About this sher

  Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

  Close

  rare Unpublished content

  This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

  OKAY
  Speak Now