kisi ka hone ki KHwahish na zid hai pane ki

kisi ka hone ki KHwahish na zid hai pane ki
Musarif Husain Mansoori
MORE BYMusarif Husain Mansoori
kisī kā hone kī ḳhvāhish na zid hai paane kī
ki jab se chaal samajh aa.ī hai zamāne kī
ye terī zid kahīñ be-ghar na kar ke chhoḌe tujhe
purānī chhat pe 'imārat na.ī banāne kī
badan hī rāsta hai ruuh tak pahuñchne kā
'atā ho mujh ko ijāzat qadam baḌhāne kī
ham aise chāñd jise raushnī na mil paa.ī
vagarna chaah thī ham ko bhī jagmagāne kī
jo DhūñDte haiñ tujhe zindagī kī rāhoñ meñ
unheñ ḳhabar hī nahīñ hai tire Thikāne kī
har ik savāl pe mere tumhārī ḳhāmoshī
banā rahī hai saḌak mujh se duur jaane kī
mire qarīb the sab log shor ke 'aadī
sunā.ī detī kise ḳhāmushī divāne kī
kisi ka hone ki KHwahish na zid hai pane ki
ki jab se chaal samajh aai hai zamane ki
ye teri zid kahin be-ghar na kar ke chhoDe tujhe
purani chhat pe 'imarat nai banane ki
badan hi rasta hai ruh tak pahunchne ka
'ata ho mujh ko ijazat qadam baDhane ki
hum aise chand jise raushni na mil pai
wagarna chah thi hum ko bhi jagmagane ki
jo DhunDte hain tujhe zindagi ki rahon mein
unhen KHabar hi nahin hai tere Thikane ki
har ek sawal pe mere tumhaari KHamoshi
bana rahi hai saDak mujh se dur jaane ki
mere qarib the sab log shor ke 'adi
sunai deti kise KHamushi diwane ki
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.