aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

kisi ki yaad mein palken zara bhigo lete

Bashir Badr

kisi ki yaad mein palken zara bhigo lete

Bashir Badr

MORE BYBashir Badr

    kisī yaad meñ palkeñ zarā bhigo lete

    udaas raat tanhā.iyoñ meñ ro lete

    dukhoñ bojh akele nahīñ sambhaltā hai

    kahīñ vo miltā to us se lipaT ke ro lete

    agar safar meñ hamārā bhī ham-safar hotā

    baḌī ḳhushī se unhī pattharoñ pe so lete

    tumhārī raah meñ shāḳhoñ pe phuul suukh ga.e

    kabhī havā tarah is taraf bhī ho lete

    ye kyā ki roz vahī chāñdnī bistar ho

    kabhī to dhuup chādar bichhā ke so lete

    kisi ki yaad mein palken zara bhigo lete

    udas raat ki tanhaiyon mein ro lete

    dukhon ka bojh akele nahin sambhalta hai

    kahin wo milta to us se lipaT ke ro lete

    agar safar mein hamara bhi ham-safar hota

    baDi KHushi se unhi pattharon pe so lete

    tumhaari rah mein shaKHon pe phul sukh gae

    kabhi hawa ki tarah is taraf bhi ho lete

    ye kya ki roz wahi chandni ka bistar ho

    kabhi to dhup ki chadar bichha ke so lete

    RECITATIONS

    Nomaan Shauque

    Nomaan Shauque,

    Nomaan Shauque

    kisi ki yaad mein palken zara bhigo lete Nomaan Shauque

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now