aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

kisi ki zulf nahin lab ki garmiyan bhi nahin

Abhay Kumar Bebak

kisi ki zulf nahin lab ki garmiyan bhi nahin

Abhay Kumar Bebak

MORE BYAbhay Kumar Bebak

    kisī zulf nahīñ lab garmiyāñ bhī nahīñ

    guloñ pe aaj to āvāra titliyāñ bhī nahīñ

    abhī ye haal huā is pe kashtiyāñ guzrīñ

    vo gaañv jis pe kabhī chhā.īñ badliyāñ bhī nahīñ

    hamārā ghar hai ki dīvāroñ numā.ish hai

    koī kivāḌ to kyā is meñ khiḌkiyāñ bhī nahīñ

    garāñ thī shab to mirī sub.h bhī hirāsāñ hai

    abhī ufuq pe vo pahle surḳhiyāñ bhī nahīñ

    asīr-e-jism hai jaañ aur ye badan apnā

    kamāl hai qafas jis meñ tīliyāñ bhī nahīñ

    ga.ī hai un pe bhī ab us barq-bār nazar

    daraḳht jin pe hamāre to āshiyāñ bhī nahīñ

    sulūk us ne mohabbat meñ vo kiyā 'bebāk'

    huā jo ham se adāvat ke darmiyāñ bhī nahīñ

    kisi ki zulf nahin lab ki garmiyan bhi nahin

    gulon pe aaj to aawara titliyan bhi nahin

    abhi ye haal hua is pe kashtiyan guzrin

    wo ganw jis pe kabhi chhain badliyan bhi nahin

    hamara ghar hai ki diwaron ki numaish hai

    koi kiwaD to kya is mein khiDkiyan bhi nahin

    garan thi shab to meri subh bhi hirasan hai

    abhi ufuq pe wo pahle si surKHiyan bhi nahin

    asir-e-jism hai jaan aur ye badan apna

    kamal ka hai qafas jis mein tiliyan bhi nahin

    gai hai un pe bhi ab us ki barq-bar nazar

    daraKHt jin pe hamare to aashiyan bhi nahin

    suluk us ne mohabbat mein wo kiya 'bebak'

    hua jo hum se adawat ke darmiyan bhi nahin

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now