kisi ko yaad taDpae tumhein kya
kisī ko yaad taḌpā.e tumheñ kyā
koī martā ho mar jaa.e tumheñ kyā
tumheñ sajne sañvarne se hai matlab
qayāmat aatī ho aa.e tumheñ kyā
anal-haq kī sadā dete hue gar
koī phir suulī chaḌh jaa.e tumheñ kyā
tumhārā husn ye ham 'āshiqoñ par
ġhazab Dhaa.e sitam Dhaa.e tumheñ kyā
tumheñ to khelnā hotā hai dil se
kisī kī jaañ chalī jaa.e tumheñ kyā
adā se shānoñ pe gesū bikhero
jahāñ bhar meñ ghaTā chhā.e tumheñ kyā
tumhārā kaam chhup kar baiTh jaanā
kisī kī jāñ-ba-lab aa.e tumheñ kyā
nigahbānī meñ ho 'āmir' kisī kī
kareñ kuchh bhī ye hamsā.e tumheñ kyā
kisi ko yaad taDpae tumhein kya
koi marta ho mar jae tumhein kya
tumhein sajne sanwarne se hai matlab
qayamat aati ho aae tumhein kya
anal-haq ki sada dete hue gar
koi phir suli chaDh jae tumhein kya
tumhaara husn ye hum 'ashiqon par
ghazab Dhae sitam Dhae tumhein kya
tumhein to khelna hota hai dil se
kisi ki jaan chali jae tumhein kya
ada se shanon pe gesu bikhero
jahan bhar mein ghaTa chhae tumhein kya
tumhaara kaam chhup kar baiTh jaana
kisi ki jaan-ba-lab aae tumhein kya
nigahbani mein ho 'amir' kisi ki
karen kuchh bhi ye hamsae tumhein kya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.