kisi manzil ka asar jaanib-e-dil khinchta hai
kisī manzil kā asar jānib-e-dil khīñchtā hai
ek anjān safar jānib-e-dil khīñchtā hai
chāñd sūraj hī batā.eñge kabhī merā vujūd
kaun ye shām-o-sahar jānib-e-dil khīñchtā hai
kaisī vahshat hai jo dīvāna banā.e hai mujhe
shaam hote hī ye Dar jānib-e-dil khīñchtā hai
be-dayārī mirī qismat meñ likhī hai lekin
be-gharī meñ koī ghar jānib-e-dil khīñchtā hai
sarfaroshān-e-mohabbat kī kashish mat pūchho
zer-e-shamshīr vo sar jānib-e-dil khīñchtā hai
jis se ḳhvāboñ meñ bhī mumkin nahīñ milnā 'resham'
haa.e vo shaḳhs magar jānib-e-dil khīñchtā hai
kisi manzil ka asar jaanib-e-dil khinchta hai
ek anjaan safar jaanib-e-dil khinchta hai
chand suraj hi bataenge kabhi mera wujud
kaun ye sham-o-sahar jaanib-e-dil khinchta hai
kaisi wahshat hai jo diwana banae hai mujhe
sham hote hi ye Dar jaanib-e-dil khinchta hai
be-dayari meri qismat mein likhi hai lekin
be-ghari mein koi ghar jaanib-e-dil khinchta hai
sarfaroshan-e-mohabbat ki kashish mat puchho
zer-e-shamshir wo sar jaanib-e-dil khinchta hai
jis se KHwabon mein bhi mumkin nahin milna 'resham'
hae wo shaKHs magar jaanib-e-dil khinchta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.