Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

kisi se bas ki umid-e-kushud-e-kar nahin

Nazm Tabatabai

kisi se bas ki umid-e-kushud-e-kar nahin

Nazm Tabatabai

MORE BYNazm Tabatabai

    kisī se bas ki umīd-e-kushūd-e-kār nahīñ

    mujhe ajal ke bhī aane e'tibār nahīñ

    javāb naame qāsid mazār par laayā

    ki jāntā thā use tāb-e-intizār nahīñ

    ye kah ke uTh ga.ī bālīñ se merī sham-e-sahar

    tamām ho ga.ī shab aur tujhe qarār nahīñ

    jo ho paas to hūr-o-qusūr sab kuchh ho

    jo nahīñ to nahīñ balki zīnhār nahīñ

    ḳhizāñ ke aane se pahle thā mujhe ma.alūm

    ki rañg-o-bū-e-chaman kuchh e'tibār nahīñ

    ġhazal kahī hai ki motī piro.e haiñ ai 'nazm'

    vo kaun sher hai jo durr-e-shāhvār nahīñ

    kisi se bas ki umid-e-kushud-e-kar nahin

    mujhe ajal ke bhi aane ka e'tibar nahin

    jawab name ka qasid mazar par laya

    ki jaanta tha use tab-e-intizar nahin

    ye kah ke uTh gai baalin se meri sham-e-sahar

    tamam ho gai shab aur tujhe qarar nahin

    jo tu ho pas to hur-o-qusur sab kuchh ho

    jo tu nahin to nahin balki zinhaar nahin

    KHizan ke aane se pahle hi tha mujhe malum

    ki rang-o-bu-e-chaman ka kuchh e'tibar nahin

    ghazal kahi hai ki moti piroe hain ai 'nazm'

    wo kaun sher hai jo durr-e-shahwar nahin

    Source:

    Noquush (Pg. B-301 E317)

      • Edition: May June 1954
      • Publisher: Nuqoosh Press Lahore
      • Year of Publication: May June 1954
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now