kisi se kya kahen dukhDa hamara
kisī se kyā kaheñ dukhḌā hamārā
hamīñ par bas nahīñ chaltā hamārā
udāsī apnī sāthī hai azal se
bahut gahrā hai yārāna hamārā
hameñ kam āñkne vāloñ se kah do
vo pahle dekh leñ shajra hamārā
hamāre qahqahe par jā rahe haiñ
kisī ne dukh nahīñ samjhā hamārā
kisī se kyoñ kareñ koī gila ham
hamīñ se hai yahāñ jhagḌā hamārā
hamīñ meñ jazb hai ye saarī vus'at
hamīñ sāhil hamīñ dariyā hamārā
chhupā.e phirte haiñ chehre ko apne
ki koī paḌh na le chehra hamārā
achānak uTh ke ḳhud se pūchhte haiñ
ki us ne haath kyoñ chhoḌā hamārā
kisi se kya kahen dukhDa hamara
hamin par bas nahin chalta hamara
udasi apni sathi hai azal se
bahut gahra hai yarana hamara
hamein kam aankne walon se kah do
wo pahle dekh len shajra hamara
hamare qahqahe par ja rahe hain
kisi ne dukh nahin samjha hamara
kisi se kyon karen koi gila hum
hamin se hai yahan jhagDa hamara
hamin mein jazb hai ye sari wus'at
hamin sahil hamin dariya hamara
chhupae phirte hain chehre ko apne
ki koi paDh na le chehra hamara
achanak uTh ke KHud se puchhte hain
ki us ne hath kyon chhoDa hamara
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.