kisī se phir mohabbat ho rahī hai
mujhe ḳhud par nadāmat ho rahī hai
yahāñ par vo ḳhamoshī hai ki yaaro
samā.at ko aziyyat ho rahī hai
mujhe kho kar bahut bechain ho tum
mujhe ye sun ke hairat ho rahī hai
mire ajdād ko koī ḳhabar de
ki mujh par phir hukūmat ho rahī hai
bahut bechain haiñ bastī ke raste
baḌī tezī se hijrat ho rahī hai
bahāroñ meñ garebāñ haiñ salāmat
junūñ meñ kaisī bid.at ho rahī hai
kisi se phir mohabbat ho rahi hai
mujhe KHud par nadamat ho rahi hai
yahan par wo KHamoshi hai ki yaro
samaat ko aziyyat ho rahi hai
mujhe kho kar bahut bechain ho tum
mujhe ye sun ke hairat ho rahi hai
mere ajdad ko koi KHabar de
ki mujh par phir hukumat ho rahi hai
bahut bechain hain basti ke raste
baDi tezi se hijrat ho rahi hai
bahaaron mein gareban hain salamat
junun mein kaisi bidat ho rahi hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.