Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

kisi tarah din to kaT rahe hain fareb-e-ummid kha raha hun

Wahshat Raza Ali Kalkatvi

kisi tarah din to kaT rahe hain fareb-e-ummid kha raha hun

Wahshat Raza Ali Kalkatvi

MORE BYWahshat Raza Ali Kalkatvi

    kisī tarah din to kaT rahe haiñ fareb-e-ummīd khā rahā huuñ

    hazār-hā naqsh aarzū ke banā rahā huuñ miTā rahā huuñ

    vafā mirī mo'tabar hai kitnī jafā vo kar sakte haiñ kahāñ tak

    jo vo mujhe aazmā rahe haiñ to maiñ unheñ aazmā rahā huuñ

    kisī mahfil naġhma-e-nai moharrik-e-nāla o fuġhāñ hai

    fasāna-e-aish sun rahā huuñ fasāna-e-ġham sunā rahā huuñ

    zamāna bhī mujh se nā-muvāfiq maiñ aap bhī dushman-e-salāmat

    ta.ajjub is hai bojh kyūñkar maiñ zindagī uThā rahā huuñ

    na ho mujhe justujū-e-manzil magar hai manzil mirī talab meñ

    koī to mujh ko bulā rahā hai kisī taraf ko to rahā huuñ

    yahī to hai nafā koshishoñ ki kaam saare bigaḌ rahe haiñ

    yahī to hai fā.eda havas ki ashk-e-hasrat bahā rahā huuñ

    ḳhudā jaane ye sāda-lauhī dikhā.egī kyā natīja 'vahshat'

    vo jitnī ulfat ghaTā rahe haiñ usī qadar maiñ baḌhā rahā huuñ

    kisi tarah din to kaT rahe hain fareb-e-ummid kha raha hun

    hazar-ha naqsh aarzu ke bana raha hun miTa raha hun

    wafa meri mo'tabar hai kitni jafa wo kar sakte hain kahan tak

    jo wo mujhe aazma rahe hain to main unhen aazma raha hun

    kisi ki mahfil ka naghma-e-nai moharrik-e-nala o fughan hai

    fasana-e-aish sun raha hun fasana-e-gham suna raha hun

    zamana bhi mujh se na-muwafiq main aap bhi dushman-e-salamat

    tajjub is ka hai bojh kyunkar main zindagi ka uTha raha hun

    na ho mujhe justuju-e-manzil magar hai manzil meri talab mein

    koi to mujh ko bula raha hai kisi taraf ko to ja raha hun

    yahi to hai nafa koshishon ka ki kaam sare bigaD rahe hain

    yahi to hai faeda hawas ka ki ashk-e-hasrat baha raha hun

    KHuda hi jaane ye sada-lauhi dikhaegi kya natija 'wahshat'

    wo jitni ulfat ghaTa rahe hain usi qadar main baDha raha hun

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now