kitna kuchh us se chhupa jata hun main
kitnā kuchh us se chhupā jaatā huuñ maiñ
jis ke ghabrāne se ghabrātā huuñ maiñ
maiñ ne ḳhud se haar kab kī maan lī
ab to auroñ ko hī samjhātā huuñ maiñ
apnā ho.uuñ to nadāmat meñ marūñ
terā ho kar hī yuuñ itrātā huuñ maiñ
tere dekhe se bhaḌaktī hai ye lau
be-ruḳhī se maañd ho jaatā huuñ maiñ
sunñā paḌtā hai mujhe ye saarā shor
hosh-mandī kī sazā paatā huuñ maiñ
sochne lagtā huuñ us ke baare meñ
āgahī se jaañ chhuḌā jaatā huuñ maiñ
tum ko manzil kī havas hai tum chalo
kuchh samajh aatā hai to aatā huuñ maiñ
kab irāda vo badal leñ kyā pata
naqsh-e-pā to chhoḌ hī jaatā huuñ maiñ
kitna kuchh us se chhupa jata hun main
jis ke ghabrane se ghabraata hun main
main ne KHud se haar kab ki man li
ab to auron ko hi samjhata hun main
apna houn to nadamat mein marun
tera ho kar hi yun itraata hun main
tere dekhe se bhaDakti hai ye lau
be-ruKHi se mand ho jata hun main
sunna paDta hai mujhe ye sara shor
hosh-mandi ki saza pata hun main
sochne lagta hun us ke bare mein
aagahi se jaan chhuDa jata hun main
tum ko manzil ki hawas hai tum chalo
kuchh samajh aata hai to aata hun main
kab irada wo badal len kya pata
naqsh-e-pa to chhoD hi jata hun main
- Book : Udaas Logon Ka Hona Bahut Zaruri Hai (Pg. 32)
- Author : Tarkash Pradeep
- Publication : Rekhta Publications (2023)
- Edition : 2nd
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.