kitne badal gae hain ye mausam bahaar ke
kitne badal ga.e haiñ ye mausam bahār ke
donoñ jahān terī mohabbat meñ haar ke
ġham ko fareb de ke yahāñ tak the aa ga.e
ab jā rahe haiñ dard kā cholā utaar ke
chehre kā rang zard hai joḌe kā rang surḳh
sasurāl jā rahī huuñ sahāre kahār ke
pīchhe guzar ga.ī hai sitāroñ kī raushnī
aage jo bichh rahe haiñ vo gul haiñ chinār ke
hoñToñ pe zaḳhm dekh ke pachhtā rahā hai kyoñ
tohfe meñ ḳhaar tū ne rakhe haiñ sañvār ke
kitne badal gae hain ye mausam bahaar ke
donon jahan teri mohabbat mein haar ke
gham ko fareb de ke yahan tak the aa gae
ab ja rahe hain dard ka chola utar ke
chehre ka rang zard hai joDe ka rang surKH
sasural ja rahi hun sahaare kahaar ke
pichhe guzar gai hai sitaron ki raushni
aage jo bichh rahe hain wo gul hain chinar ke
honTon pe zaKHm dekh ke pachhta raha hai kyon
tohfe mein KHar tu ne rakhe hain sanwar ke
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.