kitni chahat chhupae baiThe hain
kitnī chāhat chhupā.e baiThe haiñ
dil abhī tak lagā.e baiThe haiñ
ek lamhe kī us mohabbat kī
kitnī qīmat chukā.e baiThe haiñ
terī yādoñ kā vo hasīñ gulshan
apne dil meñ basā.e baiThe haiñ
tere aane ke muntazir haiñ ham
apnī palkeñ bichhā.e baiThe haiñ
apne dil se tujhe bhulāne ko
ḳhud se hī dil lagā.e baiThe haiñ
'ishq meñ tere ye tire 'āshiq
apnī hastī miTā.e baiThe haiñ
mujh ko maarā hai terī ulfat ne
dil ye phir bhī lagā.e baiThe haiñ
kuchh bhī hāsil nahīñ hai tere binā
dil ko apne batā.e baiThe haiñ
uTh gayā hai bharosa duniyā se
is qadar ham satā.e baiThe haiñ
koī shikva nahīñ hai ġhairoñ se
zaḳhm apnoñ se khaa.e baiThe haiñ
bas na jaa.eñ kahīñ ye 'rabbānī'
dil meñ tere jo aa.e baiThe haiñ
kitni chahat chhupae baiThe hain
dil abhi tak lagae baiThe hain
ek lamhe ki us mohabbat ki
kitni qimat chukae baiThe hain
teri yaadon ka wo hasin gulshan
apne dil mein basae baiThe hain
tere aane ke muntazir hain hum
apni palken bichhae baiThe hain
apne dil se tujhe bhulane ko
KHud se hi dil lagae baiThe hain
'ishq mein tere ye tere 'ashiq
apni hasti miTae baiThe hain
mujh ko mara hai teri ulfat ne
dil ye phir bhi lagae baiThe hain
kuchh bhi hasil nahin hai tere bina
dil ko apne batae baiThe hain
uTh gaya hai bharosa duniya se
is qadar hum satae baiThe hain
koi shikwa nahin hai ghairon se
zaKHm apnon se khae baiThe hain
bas na jaen kahin ye 'rabbani'
dil mein tere jo aae baiThe hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.