kitni tanha kitni bhaari raat thi
kitnī tanhā kitnī bhārī raat thī
jaane ye kis kī guzārī raat thī
laḌkhaḌāne lag gayā thā ik diyā
aur mere aage saarī raat thī
baa'd tere āñkhoñ meñ kuchh bhī na thā
ik tirī pahnī-utārī raat thī
merī sab rāteñ khaḌī thiiñ hashr meñ
darmiyāñ un ke hamārī raat thī
sard mausam bārisheñ aur āñdhiyāñ
aur us pe intizārī raat thī
chun liye the us ne sab jalte charāġh
mere hisse meñ to saarī raat thī
dekh kar tanhā maiñ le aayā thā ghar
jaane kis mushkil kī maarī raat thī
kitnī chīḳheñ tīrgī meñ jazb thiiñ
jaane vo kis kī pukārī raat thī
kitni tanha kitni bhaari raat thi
jaane ye kis ki guzari raat thi
laDkhaDane lag gaya tha ek diya
aur mere aage sari raat thi
ba'd tere aankhon mein kuchh bhi na tha
ek teri pahni-utari raat thi
meri sab raaten khaDi thin hashr mein
darmiyan un ke hamari raat thi
sard mausam barishen aur aandhiyan
aur us pe intizari raat thi
chun liye the us ne sab jalte charagh
mere hisse mein to sari raat thi
dekh kar tanha main le aaya tha ghar
jaane kis mushkil ki mari raat thi
kitni chiKHen tirgi mein jazb thin
jaane wo kis ki pukari raat thi
- Book : Aavaazon Ka Raushandaan (Pg. 122)
- Author : Kuldeep Kumar
- Publication : Rekhta Publications (2019)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.