kitnon ki jaan Dal di KHatron ke jal mein
kitnoñ kī jaan Daal dī ḳhatroñ ke jaal meñ
ik baat aap kah to ga.e ishti'āl meñ
jaise ka.ī parind kisī ek jaal meñ
is haal meñ hai zindagī aise vabāl meñ
allāh terī raah pe qaa.em rahūñ sadā
jaise qutub-numā kī suī hai shumāl meñ
bas ek she'r par ye tamāshā ye hā.e-hū
ye haal hai to aag lagā dūñgā hall meñ
pīchhe paḌā huuñ ek achhūte ḳhayāl ke
ai raat merī niiñd ko rakhnā rumāl meñ
ye peḌ ye pahāḌ ye sūraj ye ābshār
kyā kyā kamāl pesh kiye haiñ misāl meñ
kaise usuul kaise maqāsid kahāñ kī fikr
chalte haiñ sar jhukā.e hue bheḌ-chāl meñ
sūraj ġhurūb hone lagā vaqt-e-shām hai
manzar ye ḳhush-gavār bahut hai zavāl meñ
be-sūd be-nashāt tajarrud hai 'irtizā'
shādī kā vasf aur hī kuchh hai visāl meñ
kitnon ki jaan Dal di KHatron ke jal mein
ek baat aap kah to gae ishti'al mein
jaise kai parind kisi ek jal mein
is haal mein hai zindagi aise wabaal mein
allah teri rah pe qaem rahun sada
jaise qutub-numa ki sui hai shumal mein
bas ek she'r par ye tamasha ye hae-hu
ye haal hai to aag laga dunga hall mein
pichhe paDa hun ek achhute KHayal ke
ai raat meri nind ko rakhna rumal mein
ye peD ye pahaD ye suraj ye aabshaar
kya kya kamal pesh kiye hain misal mein
kaise usul kaise maqasid kahan ki fikr
chalte hain sar jhukae hue bheD-chaal mein
suraj ghurub hone laga waqt-e-sham hai
manzar ye KHush-gawar bahut hai zawal mein
be-sud be-nashat tajarrud hai 'irtiza'
shadi ka wasf aur hi kuchh hai visal mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.