kohre mein zard yaad ke KHema hai KHwab ka
kohre meñ zard yaad ke ḳhema hai ḳhvāb kā
aur ye jo māhtāb hai saayā hai ḳhvāb kā
tezāb bārishoñ ne rulā ke firāq meñ
āñkhoñ se merī zā.iqa chhīnā hai ḳhvāb kā
dekhā nikal ke vahshat-e-girdāb-e-shām se
us paar ek aur bhī dariyā hai ḳhvāb kā
kuchh aur khaa.e raat kī raanī ne pech-o-tāb
dāman jab ahl-e-ḳhāk ne pakḌā hai ḳhvāb kā
ab bhī talāsh-e-ḳhema-e-lailā meñ dar-ba-dar
gumnām vādiyoñ meñ sitāra hai ḳhvāb kā
is ko bhī faiz samjho ham ahl-e-qubūr kā
bastī meñ ik charāġh jo jaltā hai ḳhvāb kā
mere hī ābloñ se nahīñ tar ye dard-zār
is dasht meñ ik abr bhī barsā hai ḳhvāb kā
āsūda us kī aañkh meñ haiñ rang-o-bū-e-gul
yā shabnamī ġhilāf meñ sabza hai ḳhvāb kā
kohre mein zard yaad ke KHema hai KHwab ka
aur ye jo mahtab hai saya hai KHwab ka
tezab barishon ne rula ke firaq mein
aankhon se meri zaiqa chhina hai KHwab ka
dekha nikal ke wahshat-e-girdab-e-sham se
us par ek aur bhi dariya hai KHwab ka
kuchh aur khae raat ki rani ne pech-o-tab
daman jab ahl-e-KHak ne pakDa hai KHwab ka
ab bhi talash-e-KHema-e-laila mein dar-ba-dar
gumnam wadiyon mein sitara hai KHwab ka
is ko bhi faiz samjho hum ahl-e-qubur ka
basti mein ek charagh jo jalta hai KHwab ka
mere hi aablon se nahin tar ye dard-zar
is dasht mein ek abr bhi barsa hai KHwab ka
aasuda us ki aankh mein hain rang-o-bu-e-gul
ya shabnami ghilaf mein sabza hai KHwab ka
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.