koi aawaz ho TuTi hui diwaron se
koī āvāz ho TuuTī huī dīvāroñ se
fikr jalne lagī alfāz ke angāroñ se
dāman-e-zīst meñ dāġhoñ ke sivā kuchh bhī nahīñ
kyā ḳharīdegā koī shahr ke bāzāroñ se
kaisā āseb-zada ho gayā duniyā kā chalan
Dar sā lagtā hai mujhe apnī hī dīvāroñ se
kaun royā thā yahāñ kis ne sadā.eñ dī thiiñ
raat phir pūchh rahī thī mirī dīvāroñ se
ġham ko siine se lagā kar bhī rahī shaad 'nasīm'
zindagī bojh hai uThtī nahīñ bīmāroñ se
koi aawaz ho TuTi hui diwaron se
fikr jalne lagi alfaz ke angaron se
daman-e-zist mein daghon ke siwa kuchh bhi nahin
kya KHaridega koi shahr ke bazaron se
kaisa aaseb-zada ho gaya duniya ka chalan
Dar sa lagta hai mujhe apni hi diwaron se
kaun roya tha yahan kis ne sadaen di thin
raat phir puchh rahi thi meri diwaron se
gham ko sine se laga kar bhi rahi shad 'nasim'
zindagi bojh hai uThti nahin bimaron se
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.