koi achchha chehra nazar aae to
koī achchhā chehra nazar aa.e to
udhar jaate jaate idhar aa.e to
ye dil yuuñ to bachche kā bachcha hai par
gunah koī sangīn kar aa.e to
chalā to huuñ maiñ apnā ghar chhoḌ kar
magar saath meñ merā ghar aa.e to
kabūtar tirā uḌte uḌte agar
mirī TuuTī chhat par utar aa.e to
sabab ho to ronā bhī achchhā lage
magar be-sabab aañkh bhar aa.e to
koi achchha chehra nazar aae to
udhar jate jate idhar aae to
ye dil yun to bachche ka bachcha hai par
gunah koi sangin kar aae to
chala to hun main apna ghar chhoD kar
magar sath mein mera ghar aae to
kabutar tera uDte uDte agar
meri TuTi chhat par utar aae to
sabab ho to rona bhi achchha lage
magar be-sabab aankh bhar aae to
- Book : Lifaafe Mein Raushni (Pg. 128)
- Author : Mohammad Alvi
- Publication : Rekhta Publications (2018)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.