koi bala ho dar-e-yar tak nahin aati
koī balā ho dar-e-yār tak nahīñ aatī
ki dhuup sāya-e-dīvār tak nahīñ aatī
nikal paḌā hai koī sar ḳharīdne ke liye
ki jitne paisoñ meñ dastār tak nahīñ aatī
tire bhī dil meñ mohabbat kī aag raushan hai
to aañch kyoñ lab-o-ruḳhsār tak nahīñ aatī
hunar-varī ke kuchh apne usuul hote haiñ
ye raushnī kisī bekār tak nahīñ aatī
'ajīb baaġh hai is baaġh se mahak to kyā
kisī parind kī chahkār tak nahīñ aatī
maiñ ghar tak aate hue roz TuuT jaatā huuñ
ye vo ḳhabar hai jo aḳhbār tak nahīñ aatī
koi bala ho dar-e-yar tak nahin aati
ki dhup saya-e-diwar tak nahin aati
nikal paDa hai koi sar KHaridne ke liye
ki jitne paison mein dastar tak nahin aati
tere bhi dil mein mohabbat ki aag raushan hai
to aanch kyon lab-o-ruKHsar tak nahin aati
hunar-wari ke kuchh apne usul hote hain
ye raushni kisi bekar tak nahin aati
'ajib bagh hai is bagh se mahak to kya
kisi parind ki chahkar tak nahin aati
main ghar tak aate hue roz TuT jata hun
ye wo KHabar hai jo aKHbar tak nahin aati
- Book : Ek Shaam Tumhare Hisse Ki (Pg. 96)
- Author : Kashif Husain Ghair
- Publication : Rekhta Publications (2018)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.