aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

koi band-baja sa kanon mein tha

Mohammad Alvi

koi band-baja sa kanon mein tha

Mohammad Alvi

MORE BYMohammad Alvi

    koī band-bājā kānoñ meñ thā

    ajab shor ūñche makānoñ meñ thā

    paḌā thā maiñ ik peḌ chhāñv meñ

    lagī aañkh to āsmānoñ meñ thā

    barahna bhaTaktā thā saḌkoñ pe maiñ

    libās ek se ik dukānoñ meñ thā

    nazar mere chehre pe markūz thī

    dhyān us Table ke ḳhānoñ meñ thā

    zamīñ chhoḌne anokhā mazā

    kabūtar ūñchī uḌānoñ meñ thā

    mujhe maar ke vo bhī rotā rahā

    to kyā vo mere mehrbānoñ meñ thā

    koi band-baja sa kanon mein tha

    ajab shor unche makanon mein tha

    paDa tha main ek peD ki chhanw mein

    lagi aankh to aasmanon mein tha

    barahna bhaTakta tha saDkon pe main

    libas ek se ek dukanon mein tha

    nazar mere chehre pe markuz thi

    dhyan us ka Table ke KHanon mein tha

    zamin chhoDne ka anokha maza

    kabutar ki unchi uDanon mein tha

    mujhe mar ke wo bhi rota raha

    to kya wo mere mehrbanon mein tha

    RECITATIONS

    Nomaan Shauque

    Nomaan Shauque,

    Nomaan Shauque

    koi band-baja sa kanon mein tha Nomaan Shauque

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now