koi batao ki aaKHir kis imtihan mein hai
koī batāo ki āḳhir kis imtihān meñ hai
hamārī ruuh safar meñ hai aur makān meñ hai
maiñ sochtā huuñ magar kyā mujhe nahīñ mā'lūm
maiñ dekhtā huuñ magar dhyān kis ke dhyān meñ hai
jahāñ maiñ huuñ vahīñ us ko bhī honā chāhiye phir
mujhe vo kyoñ nahīñ miltā vo kis jahān meñ hai
daraḳht chup haiñ to phir shor kar rahā hai kaun
havā bhī band hai jangal bhī gahre dhyān meñ hai
vo apnī khoj meñ nikle to tujh ko mil hī jaa.e
vo terī khoj meñ hai shahr-e-bad-gumān meñ hai
usī kā tarjuma bhar merī shā'irī 'sānī'
vo ek lafz jo mub.ham sā mere kaan meñ hai
koi batao ki aaKHir kis imtihan mein hai
hamari ruh safar mein hai aur makan mein hai
main sochta hun magar kya mujhe nahin ma'lum
main dekhta hun magar dhyan kis ke dhyan mein hai
jahan main hun wahin us ko bhi hona chahiye phir
mujhe wo kyon nahin milta wo kis jahan mein hai
daraKHt chup hain to phir shor kar raha hai kaun
hawa bhi band hai jangal bhi gahre dhyan mein hai
wo apni khoj mein nikle to tujh ko mil hi jae
wo teri khoj mein hai shahr-e-bad-guman mein hai
usi ka tarjuma bhar meri sha'iri 'sani'
wo ek lafz jo mubham sa mere kan mein hai
- Book : Maujood Ki Nisbat Se (Pg. 38)
- Author : Mahendra Kumar Sani
- Publication : Rekhta Publications (2019)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.