koi bulbul se kah de lala-zaron ka bharosa kya
koī bulbul se kah de lāla-zāroñ kā bharosa kyā
bahāreñ aatī jaatī haiñ bahāroñ kā bharosa kyā
talātum-ḳhez tūfāñ meñ kināroñ kā bharosa kyā
jo ḳhud hī Duub jaa.eñ un sahāroñ kā bharosa kyā
kabhī dil chāhtā hai koī ġham kā rāz-dāñ hotā
magar phir sochtā huuñ rāz-dāroñ kā bharosa kyā
hujūm-e-yās dīvāna banā detā hai insāñ ko
abhī hañsne lageñge ġham ke māroñ kā bharosa kyā
kuchh aise moḌ bhī aate haiñ rāheñ kho bhī jaatī haiñ
talab kī manziloñ meñ rahguzāroñ kā bharosa kyā
abhī paiġhām jiine ke abhī sāmān marne kā
nigāh-e-nāz ke mub.ham ishāroñ kā bharosa kyā
'aqīl' apne hī dil kī raushnī aa.e to kaam aa.e
shab-e-tārīk meñ in chāñd-tāroñ kā bharosa kyā
koi bulbul se kah de lala-zaron ka bharosa kya
bahaaren aati jati hain bahaaron ka bharosa kya
talatum-KHez tufan mein kinaron ka bharosa kya
jo KHud hi Dub jaen un sahaaron ka bharosa kya
kabhi dil chahta hai koi gham ka raaz-dan hota
magar phir sochta hun raaz-daron ka bharosa kya
hujum-e-yas diwana bana deta hai insan ko
abhi hansne lagenge gham ke maron ka bharosa kya
kuchh aise moD bhi aate hain rahen kho bhi jati hain
talab ki manzilon mein rahguzaron ka bharosa kya
abhi paigham jine ke abhi saman marne ka
nigah-e-naz ke mubham ishaaron ka bharosa kya
'aqil' apne hi dil ki raushni aae to kaam aae
shab-e-tarik mein in chand-taron ka bharosa kya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.