aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

koi kaisa hi sabit ho tabiat aa hi jati hai

Qalaq Merathi

koi kaisa hi sabit ho tabiat aa hi jati hai

Qalaq Merathi

MORE BYQalaq Merathi

    koī kaisā sābit ho tabī.at aa jaatī hai

    ḳhudā jaane ye kyā aafat hai aafat aa jaatī hai

    vo kaise chaleñ tham tham qayāmat aa jaatī hai

    bache koī kisī Dhab se pa shāmat aa jaatī hai

    sitam kar ke sitam-gar nazar nīchī rahtī hai

    burā.ī phir burā.ī hai nadāmat aa jaatī hai

    zuleḳhā be-ḳhirad āvāra lailā bad-maza shīrīñ

    sabhī majbūr haiñ dil se mohabbat aa jaatī hai

    charāġh-o-sham.a bazm-e-yār kar kar ġhair ko phūñkā

    dil-e-afsurda meñ āḳhir harārat aa jaatī hai

    huā nazroñ nazroñ meñ vo mahshar barq-e-sad-ḳhirman

    mohabbat nigāhoñ se sharārat aa jaatī hai

    pasīna aa gayā un ko kiyā va.ada jo aane

    burī hai naaz bardārī nazākat aa jaatī hai

    har ik se ab vo kahte haiñ ki lo ham par ye marte haiñ

    jiyeñge is tarah kab tak ki ġhairat aa jaatī hai

    nahīñ kuchh dil phirnā ahd-e-dushman se tirā phirnā

    magar kuchh soch kar āḳhir muravvat aa jaatī hai

    na hotī gar naved-e-marg kyuuñ kar hijr meñ jiite

    mohabbat meñ bhī āsā.ish pe niyyat aa jaatī hai

    visāl-e-ġhair ke qisse ko sun kar kyā taḌaptā huuñ

    ye armāñ koī saktā hai hasrat aa jaatī hai

    agar sad-sāl kiije shukr-e-ulfat kījiye lekin

    ye vo sheva hai bad-zan phir shikāyat aa jaatī hai

    'qalaq' ḳhat ġhair kyuuñ kar na aatā kyuuñ na tum paḌhte

    qazā likhī huī hazrat-salāmat aa jaatī hai

    koi kaisa hi sabit ho tabiat aa hi jati hai

    KHuda jaane ye kya aafat hai aafat aa hi jati hai

    wo kaise hi chalen tham tham qayamat aa hi jati hai

    bache koi kisi Dhab se pa shamat aa hi jati hai

    sitam kar ke sitam-gar ki nazar nichi hi rahti hai

    burai phir burai hai nadamat aa hi jati hai

    zuleKHa be-KHirad aawara laila bad-maza shirin

    sabhi majbur hain dil se mohabbat aa hi jati hai

    charagh-o-shama bazm-e-yar kar kar ghair ko phunka

    dil-e-afsurda mein aaKHir hararat aa hi jati hai

    hua nazron hi nazron mein wo mahshar barq-e-sad-KHirman

    mohabbat ki nigahon se shararat aa hi jati hai

    pasina aa gaya un ko kiya wada jo aane ka

    buri hai naz bardari nazakat aa hi jati hai

    har ek se ab wo kahte hain ki lo hum par ye marte hain

    jiyenge is tarah kab tak ki ghairat aa hi jati hai

    nahin kuchh dil ka phirna ahd-e-dushman se tera phirna

    magar kuchh soch kar aaKHir murawwat aa hi jati hai

    na hoti gar nawed-e-marg kyun kar hijr mein jite

    mohabbat mein bhi aasaish pe niyyat aa hi jati hai

    visal-e-ghair ke qisse ko sun kar kya taDapta hun

    ye arman koi ja sakta hai hasrat aa hi jati hai

    agar sad-sal kije shukr-e-ulfat kijiye lekin

    ye wo shewa hai bad-zan phir shikayat aa hi jati hai

    'qalaq' KHat ghair ka kyun kar na aata kyun na tum paDhte

    qaza likhi hui hazrat-salamat aa hi jati hai

    Source:

    Kulliyat-e-Qalaq (Pg. ebook-295 page-217)

    • Author: Qalaq Merathi
      • Edition: 1966
      • Publisher: Syed Imtiyaz Ali Taj, Majlis-e-Taraqqi-e-Adab, Lahore
      • Year of Publication: 1966
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now