koi KHwab subh-e-dawam ka shab-e-be-sahar ka nasib tha

koi KHwab subh-e-dawam ka shab-e-be-sahar ka nasib tha
Syed Mubarak Shah
MORE BYSyed Mubarak Shah
koī ḳhvāb sub.h-e-davām kā shab-e-be-sahar kā nasīb thā
tū sarāb-e-dasht-e-hayāt thā mirī chashm-e-tar kā nasīb thā
vo jo barg-e-mausam-e-yās the mire rāstoñ kā libās the
jo kamāl-e-fasl-e-bahār thā tirī rah-guzar kā nasīb thā
vo samar jo zīnat-e-shāḳh the vo to aa ga.e kisī haath meñ
rahā sang-e-dast samar-talab to vahī shajar kā nasīb thā
tirī chāhatoñ ke sahāb to kisī ḳhush-nasīb pe chhā ga.e
tirī justujū kā sarāb hī mirī 'umr-bhar kā nasīb thā
vo gumān-e-sāz-e-sadā-e-pā mire dil meñ naġhma-navā sahī
tirī āhaToñ kā gudāz to kisī aur ghar kā nasīb thā
koi KHwab subh-e-dawam ka shab-e-be-sahar ka nasib tha
tu sarab-e-dasht-e-hayat tha meri chashm-e-tar ka nasib tha
wo jo barg-e-mausam-e-yas the mere raston ka libas the
jo kamal-e-fasl-e-bahaar tha teri rah-guzar ka nasib tha
wo samar jo zinat-e-shaKH the wo to aa gae kisi hath mein
raha sang-e-dast samar-talab to wahi shajar ka nasib tha
teri chahaton ke sahab to kisi KHush-nasib pe chha gae
teri justuju ka sarab hi meri 'umr-bhar ka nasib tha
wo guman-e-saz-e-sada-e-pa mere dil mein naghma-nawa sahi
teri aahaTon ka gudaz to kisi aur ghar ka nasib tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.